People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

kabhi ithla ke chalte ho
Music: Madan Mohan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aap-Ki-Parchhaiyan/Kabhi-Ithl
kabhi ithla ke chalte ho, kabhi balkha ke chalte ho
bhala ji kaise jiyenge duniya wale
ho duniya wale, ho duniya wale
ho duniya wale, ho duniya wale
jo karna hai woh kar lo ji chalenge hum to aise hi
hamara kya hai marenge duniya waale
ho duniya wale, ho duniya wale
ho duniya wale, ho duniya wale
kabhi ithla ke chalte ho, kabhi balkha ke chalte ho

leja aankhen gulabi gulabi
aise ghur na jaise ke sharabi
leja aankhen gulabi gulabi
aise ghur na jaise ke sharabi
aiji aankhon ke jab maikhaane khule hain
phir to aa ke piyenge duniya wale
jo karna hai woh kar lo ji chalenge hum to aise hi
hamara kya hai marenge duniya wale
kabhi ithla ke chalte ho, kabhi balkha ke chalte ho

apne qaidi ko de na rihayi o mujhe jine na degi judayi
apne qaidi ko de na rihayi o mujhe jine na degi judayi
tune aisa kaha to muskura muskura ke
tujhe chheda karenge duniya wale
kabhi ithla ke chalte ho, kabhi bal kha ke chalte ho
bhala ji kaise jiyenge duniya wale
jo karna hai woh kar lo ji chalenge hum to aise hi
hamara kya hai marenge duniya wale
ho duniya wale, ho duniya wale
ho duniya wale, duniya wale
kabhi ithla ke chalte ho, kabhi balkha ke chalte ho
bhala ji kaise jiyenge duniya wale
jab tak hai aakash pe chand aur sitare
Singer: Asha Bhosle
Music: Madan Mohan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aap-Ki-Parchhaiyan/Jab-Tak-Ki
jab tak hai aakash pe chand aur sitare
bhagwan salamat rahe maa bap hamare
jab tak hai aakash pe chand aur sitare
bhagwan salamat rahe maa bap hamare

maa bap hai dil kisi tirth se bhi pyara
maa bap hai dil kisi tirth se bhi pyara
ho has has ke uthate hai wo dukh dard hamara
fir kyu na har ek sans banke dua pukare
bhagwan salamat rahe maa bap hamare

kahte hai ke maa bap ka dil jisne dukhaya
aakash pe bhagwan ko usne rulaya
kahte hai ke maa bap ka dil jisne dukhaya
aakash pe bhagwan ko usne rulaya
dunia ki har ek chiz se maa bap hai pyare
bhagwan salamat rahe maa bap hamare
jab tak hai aakash pe chand aur sitare
bhagwan salamat rahe maa bap hamare
jab tak hai aakash pe chand aur sitare
bhagwan salamat rahe maa bap hamare
ek matwala aaj chala apni manzil ko
Singer: Mohammad Rafi
Music: Madan Mohan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aap-Ki-Parchhaiyan/Ek-Matwala
ek matwala aaj chala apni manzil ko
ek matwala aaj chala apni manzil ko
kismat ne aasan kiya hai har muskil ko

in aankho me jhum rahe hai sapne
in aankho me jhum rahe hai sapne
gale milenge has has kar sab apne
aaj ye dil pa lega apno ki mahfil ko
ek matwala aaj chala apni manzil ko

jisne in ankho ko pyar sikhaya
jisne in ankho ko pyar sikhaya
jisne pyar ka pehala git sunaya
aaj unske kadmo pe rakh dunga is dilko
ek matwala aaj chala apni manzil ko

tufano ki god me kismat kheli
khub ladi maujo se jan akeli
char kadam par dekh araha hu ab sahil ko
ek matwala aaj chala apni manzil ko
kismat ne aasan kiya hai har muskil ko
yahi hai tamanna tere dar ke samne
Singer: Mohammad Rafi
Music: Madan Mohan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aap-Ki-Parchhaiyan/Yehi-Hai-T
yahi hai tamanna tere dar ke samne
meri jaan jaaye, meri jaan jaaye
hay yahi hai tamanna tere dar ke samne
meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

tere dar pe aaya to bas aa gaya main
na pichhe hatunga jamane ke darse
abhi aa raha hu abhi kese jau
mila kya hai mujhko abhi tere dar se
jara dekh lu main yeh rukh ke bahare
yeh kad pyara pyara yeh julfon ke saye
hay yahi hai tamanna tere dar ke samne
meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

gila hai yehi mujhko tere khuda se
hasin jisne itna banaya hai tujhko
na aata kabhi teri galiyo mein zaalim
tere husn ne khud bulaya hai mujhko
jalakar koi shamma kaise kahega
ke dekho yaha par na parwana aaye
hay yahi hai tamanna tere dar ke samne
meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay

mohabbat mein teri agar maut aaye
toh woh maut kitni hasin maut hogi
kisi roz main tera daaman pakadkar
jo mar jau kyaa dilnashin maut hogi
agar koi aisi ghadi aa rahi hai
toh meri dua hai woh jaldi se aaye
hay yahi hai tamanna tere dar ke samne
meri jaan jaaye, meri jaan jaaye, hay
main nigahe tere chehre se
Singer: Mohammad Rafi
Music: Madan Mohan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aap-Ki-Parchhaiyan/Main-Nigah
main nigahe tere chehre se hatau kaise
main nigahe tere chehre se hatau kaise
lut gaye hosh to phir hosh mein aau kaise
main nigahe tere chehre se hatau kaise
main nigahe

chharahi thi teri mehki huyi zulfon ki ghata
teri aankho ne
teri aankho ne, pilaadi to mein pita hi gaya
tauba tauba tauba tauba tauba tauba
woh nasha hai ke batau kaise
main nigahe

shokh nazare ye shararat se na pas aayegi
kabhi ruthegi
kabhi ruthegi, kabhi milke palat jayengi
tuj se nibh jayegi, nibh jayegi
tuj se nibh jayegi mein inse nibhau kaise
main nigahe tere chehre se hatau kaise
lut gaye hosh to phir hosh mein aau kaise
mein nigahe tere chehre se hatau kaise
main nigahe
agar mujh se muhabbat hai
Music: Madan Mohan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aap-Ki-Parchhaiyan/Agar-Mujhs
agar mujh se muhabbat hai mujhe sab apne gham de do
in aankho ka har ik aansu mujhe meri qasam de do
agar mujh se muhabbat hai

tumhare gham ko apna gham bana lu to karar aaye
tumhara dard sine me chhupa lu to karar aaye
woh har shay jo tumhe dukh de mujhe mere sanam de do
agar mujh se muhabbat hai

sharik-e-zindagi ko kyun sharik-e-gam nahi karte
dukho ko bant kar kyun in dukho ko kam nahi karte
tadap is dil ki thodi si mujhe mere sanam de do
agar mujh se muhabbat hai

in aankho me na chhupana kabhi aansu najar aaye
sada has ke rahe aankhe sada ye honth muskaye
mujhe apni sabhi aahe sabhi dard-o-alam de do
agar mujh se muhabbat hai mujhe sab apne gham de do
in aankho ka har ik aansu mujhe meri qasam de do
agar mujh se muhabbat hai